Teri zulfon ki ghataaon main giriftaar hua,
Kab kahaan kaise na jaane yun dil ko pyaar hua.
Deen duniyaa ki mujhe jaise khabar hi naa rahi,
Meraa imaan maehz tera intezaar hua.
Koi mousam ho, samaan ho, ya fizayen ho,
Teraa deedar hi ab mere liye bahaar hua.
Kanp_kapee zism main tere hai mere chhoone se,
Meri rag rag main toofaan baar baar hua.

Mere kaandhe pe tikaa thak ke tera sar aise,
Ek khaamosh muhabbat ka iqraar hua.
Leke maasoom tera cheharaa apane haathon main
Mujh ko rehmat e khudaai pe etbaar hua.
Teri sahamee hui aankhaon main khushi ke aansoo,
Har dabii hasarat e rooh ka teraa izahaar hua.

No comments:
Post a Comment