Apr 21, 2011

Chand mere ru ba ru hai !


Chand mere ru ba ru hai !
 
Baaho.n mai.n bhar loo.n ki uske ,
Haath thaame jhoom loo.n mai.n ,
Balo.n se kheloo.n zaraa yaa -
Hoth uske choom loo.n mai.n
. . . . . . Sau tarh ki aarzu hai !
Daag par gardan ke uski ,
Nazar bahake betahaashaa,
Kandho.n ke dhalo.n ko kisne ,
Sangemarmar mai.n taraashaa .
. . . . Meethi mad_hoshi ki boo hai !
 
Seep mai.n moti si aankai.n,
Gaalo.n par surkhi hayaa ki ,
Hoth tharrate ki , hichaki ,
Dar ki bundo.n se chamkati .
. . . . . Jaisa sochaa hu ba hu hai !

Aankho.n mai.n uski hoo.n Jaise ,
Khwaab mai.n koi diwaanaa ,
Dhun pe uski dhadakano.n ke ,
Geet hoo.n koi puraana ,
. . . . Jwaar jaisa ek junoon hai !
Chand mere ru ba ru hai !

No comments:

Post a Comment