Apr 4, 2011

Yeh kaisi meethi uljhan hai ?


Yeh kaisi meethi uljhan hai ?
Dhoop tumhari yaad dilaati,
Chhanw tumhari hi baaten hai.n,
Aankhe ek jhalak ko pyaasi,
Bhule nahi.n bhula paate hai.n,

Itnaa kyon mohit yeh mann hai !

Tumse milane ko aatur kyon,
Mera rom rom rahataa hai,
Pyaar sahi hai , paap nahin hai,
Kyon mera antar kahataa hai,

Zidd hai ya diwanaapan hai !! 
Mitti ki saundhi khushaboo si,
Ya puja ki jhanjhar jaisi,
Rimjhim rimjhim barakhaa ho,
Tum bahati nadiya ke sur si,

Tum main meraa brundawan hai !!!

No comments:

Post a Comment