Apr 14, 2011

Kitna kuch tha mann


Kitna kuch tha mann mein apney
Jaane kyon aaj tak phir kuch keh na paaye
,
Pyaar bhi kaise kab ho gaya jo
Tumhein samajh k bhi sach mein samajh naa paaye.


Naa Roye zindagi mein pehle kabhi
Unn roti aankhon ne pehli baar rula diya

Kabhi unn aankhon mein bhi anginit chaand taarey they
Ek pal mein jaane kaise kab sab beh k moti ban gaye.


Sapne par apney, apney hi they, apne hi rahenge
Inhe na koi aur lootegaa kabhi, naa sajaa paayega apne liye

Waqt ki ret par Haanste hanste hyun hi kabhi hum bhi miley thay
Ab chalo judaa bhi hotey hain muskuraate huay.

No comments:

Post a Comment